Tuesday, April 13, 2010

INSANI DUNIYA

Is kasht ki dhara mein,
nasht ho raha hai insaan,

Is karz ki dunya mein
farz bhool raha hai insaan

paise ki marz se khudgarz
ho raha hai insaan

aey upar wale kisiko
dars dene ke liye bhej

warna apne he dars se
bebas ho raha hai insaan

DARD

Nikalti hun mein jab rah par,
gham hi gham nazar aatha hai,

Har manzl ki rah par,
dard hi dard nazar aatha hai,

Sochthi hu ki yeh dard ko,
kinare thak pohuncha du,

pohunchte hi kinara,
khud ba khud dard banjatha hai

Is dard bhari raah ka koi tikhana nahi,
yeh dard sehne wale ka koi sahara nahi,

kismath ne kis mod par mujhe khada kar diya,
zuba hai magar, sunne wala koi hamara nahi.