Saturday, February 19, 2011

Zalim.....



Ay zalim tune is qadar khanjar se waar kiya,
lagi is qadar dilpe,
ke tukde huwe hazaar,
karna tha mujhe izhaar,
abh kaise bayaan karun,
abh dil hi na raha,
bata mohabbat ki kya karun.

Gumshuda



Karte hai mhabbat unse ke kya bataye yaro,
uske gumshuda hone ka asar dil pe iss tarha chaaya,
mehsoos ho raha hai wo yehi kahin hai,
bus mil jaye toh izhaare mohabbat kar dalun.

tum bin jee na paun mein



Karti hun mohabbat tumse is qadar,
ke tumbin jee na paun me,
lafzon se bayan kaise karun,
is bechain dil ka haal,
ajab saadgi hai tere chehre pe,
ki nazar hatthi nahin tumhe dekhne ke baad

Monday, September 6, 2010

ASHQ


Dil me hai dard itna ke kaise bayaan karun,
Beh rehe hai ashq mere ankho se darya ki tarah,
Dard jhelne ke liye abh himmat nahi mujme,
Bus ek humdard tha ashq mera woh bhi behe ja raha hai

Sunday, July 4, 2010

MAUSAM



Dheemi dheemi baras rehi hai yeh barish
thandi thandi hawah chal rehi hai

keh rehi hai unkehi baatain yeh hawayeh
sahem gayi hai maujeh nadhiya kinaare

khush toh hum hai in hawaoon ko dekh kar
jaise bayaan kar rehi hai mere aane waale ek ek pal

bus thum jayeh yeh pal in haseen waadiyon mein
lag raha hai jaise ud rahi hun in hawaaon me

Thursday, May 27, 2010

HOSLA

khush raho jaha bhi raho
hai yeh dua meri
chu jao woh sitaron ko
jiski thi chah aapko kabhi
na todna kabhi himmat
mushkil raaho me
bus muskuraker kehna
yeh kaantain nahi
gulaab beecheh huwe hai meri raah mei

Monday, May 24, 2010

AAshiq ki dil ki pukaar


Humne jisse pyaar kiya
usko izhar karna mushkil hai
uss pyaar ka ikrar karna mushkil hai

Jisse jitna chaha usse meri khadar nahi
malum hai usse woh bekhabar nahi

Kehna chahtahun kuch, lavz khamosh hogaye
dekhte hi usko dhadkan tez ho gaye

kash woh mere pyaar ko samaj paathi
mere dil ki dhadkan ko jaan pathi

kehne ko tho jaan bhi dedunga
bas ek bar haan karde tho,
zindagi uski khushyon se bhar dunga

kat rahi hai zindagi uske yaad mein
neend nahi aari aajkal mujeh raat mein

tere haan par sanam meri zindagi tiki hai
tu ek bar kehde ke tu meri apni hai

kar dunga khushrang teri zindagi ko sanam
tu hi hogi meri chahat har janam janam

na le imtehaan meri chahat ki
kardunga kud ko fanaah,
tujeh raahat milegi

agar nahi hai tujeh mujse chahat
kardo mujeh jald is dard se raahat